World. Visits

Flag Counter

Sunday 3 January 2016

Ya Gareeb Nawaaz

Khwaja moinuddin chisti history was born in 1142 CE on sistan which is located in Afghanistan, khuwaja moin-uddin chisty belonged from syed families, he lost his parents in the age o 15th, when he was a child that time he was different from other people, he spent his time prayers, khuwaja moin-uddin histai play an important role to spread the Islam in Hindustan (subcontinent). He died in 1236 CE, and his shrine is present in Ajmer, India. In this Page you will find and read of Khwaja Moinuddin Chisti biography in urdu hindi and roman.

Khwaja Moinuddin Chisti

(Biography)

  
Khuwaja moin-uddin chisti sitan ke ilaqay sanjar me 1142 me  paida howay aur 1236me ajmer me wafat pai. 35 inho ne pandrah saal ki umar me darweshi zindagi akhtiyar ker lit hi. In ke baray me mash,hor hai ke pandrah baras ki umar me walid se warsa me milnay walay bag me kaam ker rahay thay ke kahien se ek faqeer namodar howa. Khuwaja moin-uddin ne isay angor khanay ko diya. Faqeer ne jholi se ek sokhi roti ka tokra nikal ker inhe khanay ke liye diya jo inho ne kha liya aur isay khatay hi khuwaja moin-uddin ki halat-e-qalb badal gai. Aur inho ne isi waqt dunyawi zindagi ko khair bad keh diya. Bag farokht ker ke inho ne apna sara asasa garibon me taqseem ker diya aur apnay abai gaon chor ker taweel safar pe rawana howay wo bukhara aur samara kand pohanch gae aur wahan hasol-e-ilm ke bad Iraq chalay gae. Haroon ke moqam pe inki mulaqat khuwaja Usman se hoi aur wo inke halka muriden me shamil hogae. Arsa bees (20) saal tak apna murshed ke sath halat-e-safar me rahay aur inki khidmat kertay rahay. Doran-e-safar in ki mulaqat sheikh abdul qadeer gilani se hoi. In ke ilawa sheikh shahab uddin seherordi aur apnay waqt ke kai namwar sufiyon se bhi milay. 1192 me bar-e-sagir me ae Lahore aur multan ke kuch arsay qayam kernay ke bad 1206 me ajmeri pohanchay waha mustaqil tor pe qayam kiya. Ajmer is waqt raja purthoru raj ki saltanat ka darul-khilafa tha.
Khuwaja moin-uddin chisti ka shumar islam ke sab se awal’lin mubaligin me hota hai jinho ne Hindustan ke awam per gehra naqosh subat kiye. In ke hath per bet ker ke hindu ki ek bari tadad ne islam qabool kiya. 36 ajmer ke atraf-o-ankaf me rahnay wlay taqreban tamam hindu ap ke aqedat-mand ban gae. Islam ki asha’at me ap ne giran baha khidmat anjam diye is ka sabot is bat se milta hai kea j bhi hazaron lakhon ki tadad me sab hi mazhab ke pero ka rap ke urs me sharik hotay hain. is azeem dargah me apna sar jhukatay hain aur sajhdah nasheen hazrat ki khidmat me bohat bari miqdar me chanda paish kertay hain aur roza mubarak ki tamerat-o-tarmimat wahairah me hissa letay hain
Bar-E-Sageer Me Chishtiyan Silsilay Ka Qayam
Chishtiyan silsilay ke bani khuwaja ishaq shami thay. Wafat 940 is silsila ko bar-e-sageer khuwaja moin uddin chisti ne mutaruf kerwaya (38) aur ap ne bar-e-saeer me pehlay sufi silsilay ki dag bel dali isi liye ap ko Hindustan ke wali/ sufike nam se yaad kiya jata hai. (39) ap ne chand hi arsay me hidustan ke taweel-o-arz me bari tadad me khan-ka hain qaim kein khas tor per  dordaraz aur wiran jagahon me in ki mojodgi ek azeem kar-nama nazar ata hai. In khan-ka’hon me aap ke muqledin maraqba kertay thay aur ap ki ba-barkat zaat se rohani faizan hasil kertay thay. Ye khan-ka’hein tasuf ke mushtaq logon ke liye misali fiza farhaam kerti thi.
Ap Ke Nam-War Shagird Aur Muridin
Khuwaja moin-uddin chisti ne apnay mazhabi doray ke doran kai namwar shagird aur dosray sufiyan akram pe gehray asrat muratab kiye. In ki amli tarbiyat ki aur batini aur rohani faizan se mustafid honay ka moqa diya. In me qabil-e-zikr hazrat ka naam sheikh hamid-uddin na-gawari, sheikh qutub-uddin bakhtiyar ka ki (jin ke naam qutub-uddinaebak ne qutub minar dehli tamer kerwaya) (40) aur sheikh kabir baba fareed ganj sukar hain. baba fareed ne asha’at-e-islam me numaya aur giran baha khidmat anjam diye khas tor per inho ne chistiya silsilay ki shakein qaim ker ke farog islam me bhar-pur hissa liya  in shakho me nizami aur sabiri shakhein sar-e-fehrist hai

Khuwaja Ajmeri Ki Islami Khidmat

No comments:

Post a Comment