Terey hotey janam liya hota
Koi mujh sa na doosra hota
Saans letta Tu aur mein jee uth'ta
Kaash Makkah ki mein fiza hota
Hijraton mein paraoo hota mein
Aur Tu khuch dair ko rukaa hota
Terey hujray key Aass pass kaheen
Mein koi kacha rastaa hota
Beech Taaif bawaqt e sung-zani
Teray lab pe saji dua hota
kisi ghazwa mein zakhmi ho ker mein
Terey qadmon mein jaa gira hota
Kaash “Uhad” mein shareek ho sakta
Aur baqi na phir bacha hota
Teri kamli ka soot kiyun na howa
Terey shano'n pey jhooltaa hota
Chob hota mein teri chokhat kee
Ya terey hath ka asaa hota
Teri pakeeza zindagi ka mein
Koi gumnaam waqiaa hota
Lafz hota kissi mein ayat ka
Jo Terey hont sey adaa hota
Mein koi jungjoo arab hota
Aur Terey samney jhuka hota
Mein bhi hota Tera ghulam koi
Laakh kehta na mein rihaa hota
Sochta hoon mein tab janam leta
Jaaney phir kiya sey kiya hota
Chaand hota Terey zamaney ka
Phir Terey hukm sey battaa hota
Paani hota udaas chashmo'n ka
Terey qadmo'n pey beh giya hota
Poda hota mein jaltey sehra mein
Aur Terey haath sey laga hota
Teri sohbat mujhey milli hoti
Mein bhi tab kitna khush'numa hota
Mujh pey parti jo Teri chashm-e-karam
Admi kiya .... mein moujza hota
Tukra hota mein ik baadil ka
Aur Terey sath ghoom'ta hota
Aasman hota ahed-e-Nabvi ka
Tujh ko hairat sey dekh'ta hota
Khaak hota mein Teri galiyoon kee
Aur terey paoon choom'ta hota
PaiR hota khajoor ka mein koi
Jiss ka phal Tu ney khaa liya hota
Bacha hota ghareeb bewa ka
Sir Teri goad mein chupa hota
Rasta hota teray guzarnay ka
aur Tera rasta daikhta hota
No comments:
Post a Comment